main tutor tha

By inayat-ali-khanJanuary 29, 2021
main tutor tha main ghar ghar padhata phirta tha
mudarrisi ki bandariya nachata phirta tha
kahin main sofe pe baitha kahin chatai par
kahin tikaya gaya kharri chaarpai par


kahin se nikla kisi lal ki pitai par
kisi aziz ne tarkha diya mithai par
main tutor tha main ghar ghar padhata phirta tha
mudarrisi ki bandariya nachata phirta tha


na koi sham meri apni sham hoti thi
ki meri sham to bachchon ke nam hoti thi
pa jab kisi ki mami ham-kalam hoti thi
to mere alam ki turki tamam hoti thi


main tutor tha main ghar ghar padhata phirta tha
mudarrisi ki bandariya nachata phirta tha
jo chhota bhai bhi shagird ka koi hota
to wo bhi aan ke meri hi god mein sota


bade ke pitne pe chhota jo phut kar rota
main sherwani ke dhabbon ko der tak dhota
main tutor tha main ghar ghar padhata phirta tha
mudarrisi ki bandariya nachata phirta tha


har ek qimash ke bachche padha diye main ne
mata-e-ilm ke nalke laga diye main ne
jo khote sikke the wo bhi chala diye main ne
jo ass the css bana diye main ne


main tutor tha main ghar ghar padhata phirta tha
mudarrisii ki bandariya nachata phirta tha
na qadar-dan na koi sahib-e-nazar paya
na ghat hi ka raha main na koi ghar paya


khitab paya to sukha sada sa sir paya
main apni qaum ke bachche padha ke bhar paya
main tutor tha mein ghar ghar padhata phirta tha
mudarrisi ki bandariya nachata phirta tha


47502 viewsmazahiyaEnglish