misal-e-aina yaro nikhar gaya kal shab ajib saneha dil pe guzar gaya kal shab bisat-e-dasht pe yun chandni thi raqs-kunan ki jaise chand ka har zakhm bhar gaya kal shab siyah raat ka wo rahib-e-charagh-ba-kaf suno wo kirmak-e-shab-tab bhar gaya kal shab kuchh itna chehra bhayanak tha khwab mein us ka ki apne aap se 'pasha' bhi dar gaya kal shab