nazr-ahmad-faraaz

phir rasm zamane ki nibhane ke liye aa
mil kar ke gale id manane ke liye aa

sur tal nae phir se milane ke liye aa
dholak pe zara thap lagane ke liye aa

jo zakhm judai ke diye un pe meri jaan
sasta sa hi marham tu lagane ke liye aa

pillon ne tere nak mein dam meri kiya hai
botal ka sahi dudh pilane ke liye aa

bin tere kahan khatm ho rishwat ki kamai
gul-chharre mere sath udane ke liye aa

bikhri hai teri zulf si har chiz hi ghar par
ek ek ko thikane se sajaane ke liye aa

sidha na kahin kar de hamein be-ja akad ye
khud jhukne ko aur mujh ko jhukane ke liye aa

tu ne bhi mere hijr mein jo sher kahe hain
be-khauf phate sar mein sunane ke liye aa

maqta hai tu hi 'raaz' ki is taza ghazal ka
is bar jo aae to na jaane ke liye aa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close