ye mahfil-e-sukhan thi may ke mahine mein shaer sabhi nahae hue the pasine mein zinda rahenge hashr tak un shairon ke nam jo is mushaira mein sunae gae kalam sadr-e-mushaira ki janab-e-'khumar' the bekas the be-watan the gharib-ud-dayar the 'mahir' the be-qarar to 'ahqar' the bad-hawas 'kausar' pukarte the ki pani ka ek glass 'shauq' o 'nushur' o 'sahir' o 'shaer' 'figar' o 'raaz' ek maqbare mein dafn the jumla shahid-e-naz aisa bhi ek waqt nazar se guzar gaya jab 'sabri' ke sabr ka paimana bhar gaya ye mehman the aur koi mezban na tha in all-indiyon ka koi qadr-dan na tha garmi se dil-girafta na tha sirf ek 'amir' kitne hi shairon ka wahan uth gaya khamir ro ro ke kah raha tha ek ustad-e-dhampur mara dayar-e-ghair mein mujh ko watan se dur al-qissa shairon ki wo mitti hui palid shaer samajh rahe the ki hum ab hue shahid wo shaeron ka jamm-e-ghafir ek hall mein dam todte hon jaise mariz aspatal mein wo tishnagi wo habs wo garmi ki al-aman munh se nikal padi thi ek ustad ki zaban shaer the band ek cinema ke haal mein panchhi phanse hue the shikari ke jal mein wo pyas thi ki jam-e-qaza mangte the log wo habs tha ki lu ki dua mangte the log mausam kuchh aisa garm kuchh itna kharab tha shaer jo bazm-e-sher mein aaya kabab tha bazm-e-sukhan ki raat qayamat ki raat thi hum shaeron ke haq mein shahadat ki raat thi kuchh ahl-e-zauq lae the sath apne tauliya nange badan hi baithe the kuchh pir o auliya pajama o qamis na aaya badan ko ras baithe the log pahne hue qudrati libas kaise kahun wo ahl-e-adab bewaquf the itna zarur hai ki wo mausam-proof the garmi se muztarib the ye shaer ye samain kahte the hum pe rahm kar ai rabb-e-alamin ye aakhiri gunah to ho jae dar-guzar ab hum mushaira mein na jaenge bhul kar ye hosh kis ko tha ki wahan kis ne kya kiya sab ko ye fikr thi ki mile jald khun-baha haalanki jaan bachne ki surat na thi koi hukm-e-khuda ki apni qaza multawi hui