shaiKH aae jo mahshar mein to aamal nadarat

By machis-lakhnaviJanuary 29, 2021
shaikh aae jo mahshar mein to aamal nadarat
jis mal ke tajir the wahi mal nadarat
kuchh hota rahega yunhi har sal nadarat
tibbat kabhi ghaeb kabhi nepal nadarat


rumal jo milte the to thi ral nadarat
ab ral tapakti hai to rumal nadarat
tahqiq kiya un ka jo shajara to ye paya
kuchh yunhi si nanihaal hai dadhiyal nadarat


hai us but-e-kafir ka shabab apna budhapa
mazi hai udhar gol idhar haal nadarat
tadad mein hain aurten mardon se zyaada
qawwaliyan maujud hain qawwal nadarat


biwi ki bhi juti ke tale ho gae ghaeb
shauhar ke agar sar se hue baal nadarat
62966 viewsmazahiyaEnglish