shash-jihat nuh falak aaenge nazar do-baTa-tin
By josh-malsianiJanuary 29, 2021
shash-jihat nuh falak aaenge nazar do-bata-tin
chhe-bata-nau ke barabar hai agar do-bata-tin
do khilaune jo kabhi hum ne tipai pe dhare
aa gae saf muhandis ko nazar do-bata-tin
talib-e-khair na honge kabhi insan se hum
nam us ka hai bashar us mein hai shar do-bata-tin
munhasir quwwat-e-bazu pe hai daulat-mandi
dekh lo zor mein maujud hai zar do-bata-tin
malak-ul-maut se duniya mein hirasan nahin kaun
jis ko kahte hain nidar us mein hai dar do-bata-tin
biswin raat mahine ki jab aa jati hai
gham mein rah jata hai ghul ghul ke qamar do-bata-tin
zalimo khauf karo aah ko samjho na haqir
lafz-e-allah mein hai is ka asar do-bata-tin
khoti manzil kiye deti hai teri yaad nadim
rah-rau ka abhi baqi hai safar do-bata-tin
do-bata-tin ki rakkhi hai jo ai 'josh' radif
sher bhi nikle hain maqbul-e-nazar do-bata-tin

27987 viewsmazahiya • English