shash-jihat nuh falak aaenge nazar do-bata-tin chhe-bata-nau ke barabar hai agar do-bata-tin do khilaune jo kabhi hum ne tipai pe dhare aa gae saf muhandis ko nazar do-bata-tin talib-e-khair na honge kabhi insan se hum nam us ka hai bashar us mein hai shar do-bata-tin munhasir quwwat-e-bazu pe hai daulat-mandi dekh lo zor mein maujud hai zar do-bata-tin malak-ul-maut se duniya mein hirasan nahin kaun jis ko kahte hain nidar us mein hai dar do-bata-tin biswin raat mahine ki jab aa jati hai gham mein rah jata hai ghul ghul ke qamar do-bata-tin zalimo khauf karo aah ko samjho na haqir lafz-e-allah mein hai is ka asar do-bata-tin khoti manzil kiye deti hai teri yaad nadim rah-rau ka abhi baqi hai safar do-bata-tin do-bata-tin ki rakkhi hai jo ai 'josh' radif she'r bhi nikle hain maqbul-e-nazar do-bata-tin