kaha ye main ne ki apni aankhon mein khwab rakhna kaha ye us ne ki aankh rakhna 'azab rakhna ye main ne puchha tha log kyun mar rahe hain itne jawab aaya tum un ke khun ka hisab rakhna kaha ye main ne zamin par amn ho sakega kaha ki hathon mein alam rakhna kitab rakhna kaha ye main ne ki zindagi kis tarah kategi kaha ye us ne ki chahatin be-hisab rakhna kaha ye main ne hawaen hain tund-o-tez kitni wo hans ke boli ki kashtiyan zer-e-ab rakhna kaha ye us ne ki daere se nikal ke dekhen kaha ki pahle koi safar intikhab rakhna kaha ye us ne ki bhid mein hum bichhad na jaen kaha ki jude mein ek taza gulab rakhna kaha ye us ne ki hum agar sach ka sath den to kaha ye main ne ki sahne ki tab rakhna