guzre wo jhulate hue jhumka mere aage locket kabhi kangan kabhi chhalla mere aage rahta hai hamesha hi ye khatra mere aage ladki mere aage hai ki ladka mere aage hota hai shab-o-roz tamasha mere aage badli hain yahan aaj mohabbat ki wo rasmen shirin na rahi ab kisi farhad ke bas mein sohni ke lage tir mahinwal ki nas mein khati hai yahan hir kisi aur ki qasmen majnun ko bura kahti hai laila mere aage sunte ho aji kahti thi hawwa ki ye dukhtar wo tarz-e-takhatub tha ye chahat ka samundar ab daur-e-masawat hai donon hain barabar shauhar ko pukare hai wo ab nam hi le kar aata hai abhi dekhiye kya kya mere aage rakhna tha mohabbat ko chhupa dil ki kali mein wada tha nibhane ka buri aur bhali mein khujli hui shayad tere pairon ki tali mein pakdi jo gai aaj raqibon ki gali mein tu dekh ki kya rang hai tera mere aage abba jo tere ishq ki rudad samajhte majnun ka yaqinan hamein ham-zad samajhte aur ghaib se bheji hui imdad samajhte sine se lagate hamein damad samajhte kyunkar kahun lo nam na un ka mere aage