ilaj-e-hijr zara aur karke dekhte hain nazare hum kisi rashk-e-qamar ke dekhte hain khumar-e-did se hum bhi sanwar ke dekhte hain suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain so us ke shahr mein kuchh din thahar ke dekhte hain hamein kasak si jo lahaq hai chand salon se najat pane ko jate hain in malalon se halak hote hain us ki nigah ke bhaalon se suna hai rabt hai us ko kharab-haalon se so apne aap ko barbaad karke dekhte hain subu mizaj hai sad-chashm-e-naghma-saz us ki wo be-niyaz nigah hai sukhan-taraaz us ki dil-e-shaqi se to achchhi hai saz-baz us ki suna hai dard ki gahak hai chashm-e-naz us ki so hum bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain ghazal sunane ka us ko hamein mila hai sharaf sukhan mein hum ne banaya jo us ko apna hadaf to uth bhi sakti hai us ki nazar hamari taraf suna hai us ko bhi hai sher-o-shaeri se shaghaf so hum bhi moajize apne hunar ke dekhte hain wo muskurae to rukh par gadhe se padte hain labon ko chhute hain alfaz to sanwarte hain jo lams pate hain honton ka to nikharte hain suna hai bole to baaton se phul jhadte hain ye baat hai to chalo baat karke dekhte hain wahi to hai jise har ek chand kahta hai wo jis ke nur mein suraj kiran sa bahta hai wo jis ke hijr ko suraj bhi chhup ke sahta hai suna hai raat use chand takta rahta hai sitare baam-e-falak se utar ke dekhte hain ki us ki zulf pe to badliyan khul aati hain usi ki did pe ye qumriyan bhi gati hain usi ke nur mein to bijliyan nahati hain suna hai din ko use titliyan satati hain suna hai raat ko jugnu thahar ke dekhte hain bahut hasin hain us ki khayal si aankhen wafur-e-baada se rangin gulal si aankhen jo un mein jhank ke dekho to dhaal si aankhen suna hai hashr hain us ki ghazal si aankhen suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain ki rasmasa ke sana-gar hain konplen us ki suna hai kaif ka mehwar hain mahfilen us ki suna hai shauq se bartar hain manzilen us ki suna hai raat se badh kar hain kakulen us ki suna hai sham ko sae guzar ke dekhte hain suna hai ghuncha-dahan sirr-e-sad-malahat hai suna hai jaan-e-ghazal sar-basar sabahat hai suna hai us ki ajab rustakhez qamat hai suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain jo muskurae to yaqut-e-lab bahalte hain suna hai us ke tabassum se dil pighalte hain aqiq-honton pe jab qahqahe machalte hain suna hai us ke labon se gulab jalte hain so hum bahaar pe ilzam dhar ke dekhte hain hai baat aur hi aur har ada hasin us ki saba ke dosh pe wo zulf-e-ambarin us ki ki dil pe qahr hain baaten wo dil-nashin us ki suna hai aaina-timsal hai jabin us ki jo sada dil hain use ban-sanwar ke dekhte hain ki dekhte jo hain khud ko wo us ke darpan mein hue hain itne wo mashur us ki ban-than mein wo khud ko bhul ke khoe hain ek nae-pan mein suna hai jab se hamail hain is ki gardan mein mizaj aur hi lal-o-gohar ke dekhte hain suna hai lams ko pane ke us ke arman mein wafur-e-kaif ke afsun mein shauq-e-jaanan mein isi khayal mein kho kar kabhi shabistan mein suna hai chashm-e-tasawwur se dasht-e-imkan mein palang zawiye us ki kamar ke dekhte hain ghurur-e-husn ke phulon ki aisi-taisi hai go khushbu un ki bhi bilkul usi ke jaisi hai par un ki aan yahan pash pash kaisi hai suna hai us ke badan ki tarash aisi hai ki phul apni qabaen katar ke dekhte hain nazir koi bhi us ka sar-e-bilad nahin koi bhi husn mein us husn se ziyaad nahin nahin jo dekh ke us ko koi jo shad nahin wo sarw-qad hai magar be-gul-e-murad nahin ki is shajar pe shagufe samar ke dekhte hain ajib chiz hai jalwa jamal-e-kaamil ka hate kabhi ki jo parda hai us ke mahmil ka khayal phir nahin rahta hai koi manzil ka bas ek nigah se lutta hai qafila dil ka so rah-rawan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain suna hai us ke shabistan se munfail hai bahisht suna hai us ke shabistan se muzmahil hai bahisht suna hai us ke shabistan se mundamil hai bahisht suna hai us ke shabistan se muttasil hai bahisht makin udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain chale to gardishen sab e'tiraf karti hain chale to rasta us ka wo saf karti hain chale to us ke saliqe ka laf karti hain ruke to gardishen us ka tawaf karti hain chale to us ko zamane thahar ke dekhte hain khayal-o-khwab ki ek anjuman use dekhe aur is tarah ki bad-diwana-pan use dekhe kabhi dariche se guzri pawan use dekhe kise nasib ki be-pairahan use dekhe kabhi kabhi dar-o-diwar ghar ke dekhte hain ajab junun ke ye apne mualije hi sahi dil-e-gharib ke apne mughaalate hi sahi ye baalak-hat ke sabab ke mutalbe hi sahi kahaniyan hi sahi sab mubaalghe hi sahi agar wo khwab hai tabir karke dekhte hain usi ke kuche mein rah len ki dar-ba-dar jaen usi ke dar pe hi baithen ya apne ghar jaen ab us ke shahr ko chhoden ya is mein mar jaen ab us ke shahr mein thahren ki kuch kar jaen 'faraaz' aao sitare safar ke dekhte hain