kunjashk-o-darna taza-dam lala kanwal aur nastaran wo bulbul-o-taus-o-gul wo kaukab aur wo yasman gul-ha-e-sad-rangin-qaba murghan-e-sad-shirin-dahan gulshan kaho tum ya chaman hai ahl-e-dil ki anjuman sad bulbul-e-shorida-sar sad lala-e-khunin-kafan wo bagh-e-yak-minu-sifat ganjina-e-sarw-o-saman mashur-kun wo chahchahe sad fakhr-e-daudi lahan hai ambarin jis ki faza mushk-e-khutan jis ki pawan is bagh mein aati hai ek mahbuba-e-gul-pairahan shirin-nawa shirin-ada shirin-sukhan shirin-dahan wo hai ilaj-e-dard-e-dil dil ki magar halchal bhi hai wo aashna-e-gham bhi hai lekin bahut chanchal bhi hai wo jalwa-e-mah-e-mubin wo naznin sanwal bhi hai wo gul bhi hai suraj bhi hai bijli bhi hai baadal bhi hai dekha na tha pahle kabhi aisa hasin banka sajan aise wo aaya mah-ru ausan sab ke aa liye nok aur palak ab sher ki kya dekhiye kya bhaaliye ash ash ke is tufan ko aakhir kahan tak taliye paikar ko us ke sher ke paikar mein kyunkar dhaaliye khamosh hain hairan hain sab shahryaran-e-sukhan bulbul si wo naghma-kunan muskan ghunche ki chatak tewar wo bijli ki lapak lalin wo aariz ki dhanak zulfon mein ambar ki mahak aankhon mein taron ki damak peshani-e-simin hai ya subh-e-takhayyul ki chamak shaistagi-e-fikr-o-fan us ke tabassum ki kiran wo husn sa painda hai wo mah sa rakhshanda hai behad hi wo bakhshinda hai aur sab se hi zebinda hai jo dekh le farkhanda hai chahe jo us ko zinda hai hur-o-pari sharminda hai wo is qadar tabinda hai dekhe se nikhre rang-e-rukh chhune se maila ho badan chaho bahut sunte raho us zindagi ke saz ko dil mein hi bas rakkho magar tum uns ke us raaz ko jo kuchh bhi ho tum chhuna mat us paikar-e-andaz ko bas dur se dekha karo us shama-e-bazm-e-naz ko wo raunaq-e-kashana-e-dil hairat-e-sad-anjuman baaton mein us ki hai ayan wazeh ye mubham kaun hai sochon mein us ki dam-ba-dam maujud paiham kaun hai tanhai ke is dasht mein ye us ka hamdam kaun hai aao chalen dekhen zara wo jaan-e-alam kaun hai 'sardar' ke sheron mein hai zulf-e-moambar ki shikan