aap mahbub-e-khuda ya-mustafa ho gaya dil aap ka ya-mustafa wo haqiqat mein kaha allah ne aap ne jo kuchh kaha ya-mustafa aap par aur aap ke farman par jaan-o-dil se hum fida ya-mustafa aap ke naqsh-e-qadam par hum chalen aap sab ke rahnuma ya-mustafa waliyan-e-mulk sultan tajwar aap ke dar ke gada ya-mustafa ummaton mein afzal ummat aap ki aap shah-e-ambiya ya-mustafa din-e-haq ki aap ne talim di aap haq hain haq-numa ya-mustafa aap hi ne to kiya insan ko khud-nigar khud-ashna ya-mustafa aap par hain khatm sari azmaten tha na hoga aap sa ya-mustafa har ghadi main aap par bhejun darud dil kahe salle-ala ya-mustafa