hum jaan chuke ki is band kamre mein hamari sanson par ghutan-zada faisle likhe jate hain hamari aarzuon ko bech kar dukh kharide jate hain khauf ko nigahbani ke raaz batae jate hain aur anaj ke nam par bhuk taqsim ki jati hai band kamre mein jo khel khele jate hain un mein hamari haar likhi jati hai magar ab hum ne jaan liya ki jab tak hamari dastakon ka tufan is band kamre ko tod nahin deta is ke andar jari wahshat-nak khel ruk nahin sakta