apni tarikh ke ahramon mein utar kar dekhen azab-e-musalsal ki ye fasl hamare pas tarikh ki nishani hai ya surkh siyahi se hamari nai tarikh likhi ja rahi hai wo aankhen, wo hath, wo chehre ab kaun dhunde? jinhon ne hadson ko yahan chalna sikhaya agar wo mil bhi jaen to unhen kaun pahchanega? unhon ne to apne chehre sab mein bant diye ab to har taraf ek jaise hi chehre hain har koi be-chehra hai yahan to bas ek hi waqt aa ke thahra hai khasaron ka kada pahra hai magar mumkin hia be-chehragi ke azab ke us par hum sab ke chehre qaid hon jis din sab ko apne chehre mil gae to dil bhi mil jaenge