aao ki aaj ghaur karen is sawal par dekhe the hum ne jo wo hasin khwab kya hue daulat badhi to mulk mein aflas kyun badha khush-haali-e-awam ke asbab kya hue jo apne sath sath chale ku-e-dar tak wo dost wo rafiq wo ahbab kya hue kya mol lag raha hai shahidon ke khun ka marte the jin pe hum wo saza-yab kya hue be-kas barahnagi ko kafan tak nahin nasib wo wada-ha-e-atlas-o-kim-khwab kya hue jamhuriyat-nawaz bashar-dost amn-khwah khud ko jo khud diye the wo alqab kya hue mazhab ka rog aaj bhi kyun la-ilaj hai wo nuskha-ha-e-nadir-o-nayab kya hue har kucha shoala-zar hai har shahr qatl-gah yak-jahti-e-hayat ke aadab kya hue sahra-e-tirgi mein bhatakti hai zindagi ubhre the jo ufuq pe wo mahtab kya hue mujrim hun main agar to gunahgar tum bhi ho ai rahbaran-e-qaum khata-kar tum bhi ho