faza mein dard-agin git lahrae to aa jaana sukut-e-shab mein koi aah tharrae to aa jaana jahan ka zarra zarra yas barsae to aa jaana dar-o-diwar par andoh chha jae to aa jaana samajh lena koi ro ro ke tujh ko yaad karta hai samajh lena koi gham ka jahan aabaad karta hai koi taqdir ka mara hua fariyaad karta hai teri aankhon mein ashk-e-gham utar aae to aa jaana dilon ko gudgudae jab tarannum aabshaaron ka ghata barsat ki jab chum le munh kohsaron ka mulaqaton ke jab din hon zamana ho bahaaron ka bahaar-e-gul mulaqaton pe uksae to aa jaana zamana mushkilon ke jal phailae to phailae qadam badhte rahen be-dard duniya lakh bahkae samajhte hain kahin diwangan-e-ishq samjhae tere honton pe mera nam aa jae to aa jaana jhadi barsat ki jab aag tan man mein lagati ho gulon ko bulbul-e-nashad haal-e-dil sunati ho koi birhan kisi ki yaad mein aansu bahati ho agar aise mein tera dil dhadak jae to aa jaana