sham ko jab ghar mein aae hum middle school se ek sahab milne aae shahr-e-asansol se hum ne puchha nam to bole mohammad iftikhar khairiyat puchhi to wo kahne lage be-ikhtiyar aap hain 'bazagh' bihaari shair-e-tanz-o-mizah san athattar mein hua jin ka zarafat se nikah masti-e-tanz-o-zarafat jab se hai sar par sawar shaeri ke field mein hain aap shutr-e-be-mahaar meri baaton ka na hargiz aap jo manen bura aap ko 'bazagh' bihaari hai ye mera mashwara aap ab sinf-e-zarafat se ta'alluq todiye aur shahnaz-e-ghazal se apna rishta jodiye badh nahin sakta zarafat se waqar-e-shaeri tanz se chalta nahin hai karobar-e-shaeri ab hazal-goi to ek bazicha-e-atfal hai bhairwin malhaar thumri shewa-e-qawwal hai aap dekhenge ghazal ki sinf apnane ke baad rang lati hai hina patthar pe pis jaane ke baad masala ho samne to is ka hal bhi chahiye jab gala achchha ho to achchhi ghazal bhi chahiye dast-basta phir to hum ne arz ki ai mohtaram qadir-e-mutlaq ka hai insan pe kitna karam aaj bhi nazan hai jis par fitrat-e-parwardigar munfarid hai aadmi allah ka wo shahkar aadmi ko jis ne bakhshi hai mata-e-shaeri hai tarannum bhi wadiat ek usi allah ki sunne walon ko samaat ka maza bhi chahiye jab ghazal achchhi ho to achchha gala bhi chahiye tairan-e-tira-shab jab bolte hain taht mein phail jati hai nahusat kohsar-o-dasht mein bhaunkte hain raat ko jab bhi sagan-e-ku-e-yar phir nazar aata nahin hai aashiqon ko su-e-yar mast ho kar jab gadhe karte hain dhenchun raat ko yaad aa jati hai nani bhut aur jinnat ko jaanwar be-aql insan makhzan-e-aql-e-salim aadmi aur jaanwar mein hai ye tafriq-e-azim jaanwar hansta nahin hai aur hansa sakta nahin ibn-e-adam ki tarah wo gunguna sakta nahin