gham-e-musalsal ki is tapish mein ki jism jal jae aadmi ka hansi ki halki phuwar bhi ho to kaam chal jae aadmi ka mizah ki gar zara bhi his hai hansi ko aur qahqahe ko chhodo chaman mein gar phul muskura de to dil bahal jae aadmi ka musibaton ka muqabla jo hamesha hanste hue karega jo waqt mushkil mein aane wala to wo bhi tal jae aadmi ka kisi ko girne se tokna mat durusht lahje mein yaad rakkho tabassum-amez ho nasihat qadam sanbhal jae aadmi ka zamana achchha guzar gaya to ye din bure bhi nahin rahenge na ho agar ye fareb-e-paiham to dam nikal jae aadmi ka gunahgaron aur aasiyon ko azab-e-dozakh se waizo tum darao be-shak magar na itna ki dil dahal jae aadmi ka ibaadaton ke muawze mein milegi jo aabidon ko jannat tum us ka naqsha kuchh aisa khincho ki dil phisal jae aadmi ka naza se pahle kare jo tauba wo apni rahmat se bakhsh dega ajab nahin hai ki marte marte bhi dil badal jae aadmi ka ye daur make-up ka aa gaya hai wo husn-e-sada kahan mile ab ki jis ki bas ek jhalak ko dekhe to dil machal jae aadmi ka faza-e-masmum mein sans le kar koi jiya bhi to kya karega zaif hone se qabl hi jab shabab dhal jae aadmi ka na itni aasan shaeri ho ki jis ka mafhum hi na nikle na itni mushkil ki jis ko sun kar zehn pighal jae aadmi ka ye zindagi 'khwah-makhwah' itni azab-e-jaan aur tawil bhi hai agar na hon mahfilen hansi ki to dam nikal jae aadmi ka