tere matam mein shamil hain zamin o aasman wale ahinsa ke pujari sog mein hain do jahan wale tera arman pura hoga ai amn-o-aman wale tere jhande ke niche aaenge sare jahan wale mere budhe bahadur is budhape mein jawan-mardi nishan goli ke sine par hain goli ke nishan wale nishan hain goliyon ke ya khile hain phul sine par usi ko mar dala jis ne sar uncha kiya sab ka na kyun ghairat se sar nicha karen hindostan wale mere gandhi zamin walon ne teri qadr jab kam ki utha kar le gae tujh ko zamin se aasman wale zamin par jin ka matam hai falak par dhum hai un ki zara si der mein dekho kahan pahunche kahan wale pahunchta dhum se manzil pe apna karwan ab tak agar dushman na hote karwan ke karwan wale sunega ai 'nazir' ab kaun mazlumon ki fariyaaden fughan le kar kahan jaenge ab aah-o-fughan wale