aaina dekhne ka shauq hai wo is ka har shakhs mubtala dekha samne aaine ke ban-than kar hum ne ahbab ko khada dekha koi muchhon pe tao deta hai koi dadhi sanwarta dekha koi kapdon ko saf karta hai koi munh dekhta hua dekha shana hai ya barash hai ya rumal hath khali na ek ka dekha shauq hai aam jama-zebi ka jis ko dekha hai khud-numa dekha dekha sab ne hi apna jism-o-libas lek ye tarfa majra dekha dekhne se kabhi nahin seri rose go chehra barha dekha apni surat ke sab hain shaidai sab ko apna farefta dekha surat-e-zahiri magar ai dost jis ne dekhi hai us ne kya dekha dekhne wala us ko kahte hain jis ne baatin bhi barmala dekha dil ka aaina pas hai sab ke saf aisa kam aaina dekha mujh se puchho to wo hai nek-nasib jis ne ye aaina zara dekha surat-e-haal hai khabar pai aur apna bura bhala dekha nutq o atwar din aur iman sab ko jaise hain barmala dekha aur phir le ke sai ka rumal naqs jo jo ki ja-ba-ja dekha us ki is tarah se safai ki ki na aankhon ne phir zara dekha ye hai aaina dekhna ai dost dekha is tarah to baja dekha