bujha do lahu ke samundar ke us par aaina-khanon mein ab jhilmilate hue qumqumon ko bujha do ki dil jin se raushan tha ab un charaghon ki lau bujh chuki hai mita do munaqqash dar-o-baam ke jagmagate chamakte hue sab buton ko mita do ki ab lauh-e-dil se har ek naqsh harf-e-ghalat ki tarah mit chuka hai utha do lahu ke jazire mein biphri hui maut ke zard panjon se parda utha do ki ab is jazire mein lashon ke ambar bikhre pade hain faza mein har ek samt jalte hue khun ki bu rachi hai wo aankhen jo apne badan ki tarah saf shaffaf thin ab un darakhton pe baithe hue chil kawwon gidhon ki ghiza bin chuki hain ye sola december ki bujhti hui sham hai aur main is lahu ke jazire mein jalta hua aakhiri aadmi hun