aaKHiri raat

By khalilur-rahman-azmiFebruary 27, 2024
mat bujha dil-e-nadan
sogwar sham'on ko
ab bhi gham ke maron ki
aadhi raat baqi hai


khwab ki tahon mein ab
chhup gae hain ja ja kar
zindagi ke saudagar
hai jahan-e-be-payan


ek qarya-e-viran
aur meri ye dharti
karwaten badalti hai
jaise dard ke mare


koi kuchh na kah pae
chaunk chaunk uthti hai
raste ki khamoshi
maut jaise karti ho


zindagi se sargoshi
main ne ashk boe the
jin fasurda aankhon mein
un se khun rista hai


un se aag bahti hai
mere samne aa kar
nach nach uthti hain
meri apni taswiren


kitni bar jab main ne
zindagi lutai hai
aur kisi ki chahat mein
zalzale se aae hain


aasman tuta hai
jaan par ban aai hai
shal hue hain ye shane
thak gai hain aashaen


lekin aaj bhi hamdam
ye udas darwaze
shahrah ki jaanib
jaise takte rahte hain


dekh in darichon par
koi bund phir tapki
nind ke darakhton ko
koi phir hilata hai


aur jaise rah rah kar
mere kan bajte hain
maut ke qadam ki chap
meri na-tamam ulfat


aasra dilati hai
aaj jag kar kato
sa'at-e-fasurda ko
aaj koi aaega


aaj koi aaega
73888 viewsnazmEnglish