abba jab bazar se aae aate aate aam bhi lae jitne hare the sab kachche the pakke hue the narm rasile kachche to the sakht aur khatte do do aam diye the hum ko do aapa ko do aadam ko mere aam bahut mithe the aadam ke bilkul khatte the aam ke nam na jaane kya the tota pari nilam the kya the aam ki nazm amin-'hazin' ki padh ke munh mein aaya pani