aam hai aur aam hai

By shaheen-iqbal-asarNovember 18, 2020
chhuttiyan hain main hun mitha aam hai
aur ab mera bhala kya kaam hai
mango khana aur pina milkshake
shaghl ab apna ye subh-o-sham hai


garmiyan hain garmiyan hain garmiyan
aam hai aur aam hai aur aam hai
nashta khana dinner ya lunch ho
aam ke mausam mein nazr-e-am hai


main nahin chhodunga ab langde ki tang
chus lunga chausa aisa aam hai
aam kahta hai jise sara jahan
ghaaliban jannat ke phal ka nam hai


is ki quwwat ka bhala kya puchhna
fauq sadha pista-o-baadam hai
shauq jis ko aam khane ka nahin
zauq mein wo ham-sar-e-inam hai


sab phalon ka jab taqabul ho 'asar'
aam hi bas qabil-e-inam hai
67373 viewsnazmEnglish