aam jo khae wo lalchae jo na khae wo pachhtae bhini bhini khushbu aae jo sab ke hi man ko bhae langda chausa aur dasahri koi nahin hai in ka bairi sone jaisi rangat in ki dali dali sangat in ki abba jab bazar ko jate tokri bhar aamon ki late sare phalon ka aam hai raja kachcha pakka sab ka kha ja khushbu is ki bhini bhini mitha gud hai mithi chini khud khaen auron ko khilaen khane se ji bhar na paen sab se achchhi baat ye hi hai garmi ki saughat ye hi hai