aamad-e-shab

By muneer-niyaziNovember 9, 2020
diye abhi nahin jale
darakht badhti tirgi mein chhup chale
parind qafilon mein dhal ke ud chale
hawa hazar marg-e-arzu ka ek gham liye


chali pahadiyon ki samt rukh kiye
khule samundaron pe kashtiyon ke baadban khule
sawad-e-shahr ke khandar
gae dinon ki khushbuon se bhar gae


akeli khwab-gah mein
kisi hasin-nigah mein
alam mein lipti chahaten warud-e-shab se jag uthin
hai dil ko bekali siyah raat aaegi


jilau mein dukh ki lag ko liye hue
nagar nagar pe chhaegi
27799 viewsnazmEnglish