ek ruqa likhen aur yun likhen hum to apne daur ki be-rangiyon bad-ahdiyon aur nafraton ki murda tafsilat ki zinda kahani apne khun se likh gae hum kya karen gar apna khun kale badbu-dar qatil zahr hi ki lahr tha aur ye likhen hamare daur mein sat rangon ki dhanak kale kambal odhti thi ujle ujle chawalon mein sang-rezon ki badi bohtat thi aur hamare pairahan aag se katre gae the aur jo tha khaal ke andar pighal kar bah gaya tha aur likhen ye bhi ki hum to apna hissa pa chuke ab tumhaare waste sat rangon ki barahna qaus hai is ko apne taur par jab kabhi tartib dena khun ke ek rang ko chhod dena un ke nam jin ki rag rag kale badbu-dar qatil zahr se bezar thi phir bhi use dhone pe jo majbur the jin ko apne jism mein jaise lahu ki surkh dhaar dekhne ka umr bhar arman raha aur jo apne daur ki be-rangiyon ki murda tafsilat ki zinda gawahi dete dete so gae