dar diwar dariche aangan dahlizen dalan aur kamre sare rup ye kitne nazuk socho to mitti ke khilaune mere liye ye kunj-e-ibaadat mere liye ye koh-e-sadaqat mere liye ye manzil-e-wada khuld-e-tahaffuz qasr-e-rifaqat jis ke raj-singhasan baithi main rani hun main bechaari bahar chahe tufan aaen lekin yan sab chain se soen jab jagen tab suraj nikle so jaen tab chandni mahke mere ghar wale japte hain mere nam ki jai-malaen laxmi chhaya jaanen mujh ko saraswati sa manen mujh ko chand dekh ke mujh ko dekhen hariyali par mujhe chalaen apna takht aur taj sambhaale shaal doshaale kandhon dale baal baal moti pirwaun! por por mein hire pahnun kaam-kaj ka pallu dale! din bhar ghar se uljhun suljhun raat ko lekin aankhen munde pichhli rut ka sawan dekhun hire lal bikharte jaen mahl do mahle hatte jaen chhota aangan niche kamre! dur dur se hath hilaen bite lamhe jugnu aise udte aur chamakte aaen mutthi bandh ke un ko dekhun champa phul mahakte jaen jagmag jagmag sone jaisa ghar sab ki nazron mein aaya bhiga aanchal phaila kajal kis ne dekha kis ne chhupaya