aankhen
By ahmad-ayazFebruary 24, 2025
suno jaana
mujhe ek baat kahni thi
ye jo aankhen tumhaari hain
bahut hi khub-surat hain
na jaane kyon magar mujh ko
yahi mahsus hota hai
ki in khwabida aankhon mein
hazaron khwahishen aisi hain
jo ab tak kisi
anjam tak pohnchi nahin hain
aur sare khwab ek mehwar pe gardish kar rahe hain
na jaane kaun sa wo waqt hoga jab
thahar jaega ye lamha
aur ye aankhen khuli rah jaengi
wo sare khwab sari khwahishen bas dekhte hi dekhte
dam tod dengi in hasin khush-fahm aankhon mein
magar kya khub ho tum bhi
main jab bhi dekhta hun ghaur se in katthai aankhon mein
yun mahsus hota hai
ki jaise ghurti rahti hon mujh ko
aur mujh se kah rahi hon ki
meri aankhen ye tum rakh lo
tumhaare khwab main rakh lun
mujhe ek baat kahni thi
ye jo aankhen tumhaari hain
bahut hi khub-surat hain
na jaane kyon magar mujh ko
yahi mahsus hota hai
ki in khwabida aankhon mein
hazaron khwahishen aisi hain
jo ab tak kisi
anjam tak pohnchi nahin hain
aur sare khwab ek mehwar pe gardish kar rahe hain
na jaane kaun sa wo waqt hoga jab
thahar jaega ye lamha
aur ye aankhen khuli rah jaengi
wo sare khwab sari khwahishen bas dekhte hi dekhte
dam tod dengi in hasin khush-fahm aankhon mein
magar kya khub ho tum bhi
main jab bhi dekhta hun ghaur se in katthai aankhon mein
yun mahsus hota hai
ki jaise ghurti rahti hon mujh ko
aur mujh se kah rahi hon ki
meri aankhen ye tum rakh lo
tumhaare khwab main rakh lun
47086 viewsnazm • English