jab se ki mohabbat hui pyare hain ye aansu jaise ki meri aankh ke tare hain ye aansu kahte ho ki lillah ab aansu na girao aise mein ki jine ke sahaare hain ye aansu han han unhen daman-e-mohabbat mein jagah do aankhen hain meri aur tumhaare hain ye aansu har khun-e-jigar ke liye tayyar hun ab bhi haara hun na main aur na haare hain ye aansu simab hain jab tak ki hain ye qalb-o-jigar mein aankhon mein jab aae to sitare hain ye aansu bechain umangon ne na samjha hi na dekha betab jawani ke nazare hain ye aansu gham wo hai jo har chiz ko pighla ke baha de pani nahin sayyal sharare hain ye aansu masum nigahon ko nibhate hain ye aksar poshida mohabbat ke ishaare hain ye aansu gham-khwar hain mere liye shab-ha-e-alam mein aakhir to gham-e-dost ke mare hain ye aansu