purani baat hai lekin ye anhoni si lagti hai hamesha un ke honton par muqaddas aayaton ka wird rahta tha hamesha un ki peshani riyazat aur ibaadat ki nishani ko liye raushan raha karti wo pancho waqt masjid ke minaron se azan dete wo milon pa-piyaada tez dhupon mein safar karte khuda ki bartari us ki ibaadat ke liye logon mein ja kar raat-din tabligh karte log un ko marhaba kahte hikayat hai wo barson baad jab apne gharon ko laut kar aae unhen ye dekh kar hairat hui thi un ke beton ne unhen bilkul na pahchana gharon ke aanganon ki bahami taqsim kar li thi makanon ke nae naqshe banae the aur un ki sari chizen wo gharibon aur mohtajon mein ja kar bant aae the