aata hai yaad mujh ko school ka zamana wo doston ki sohbat wo qahqahe lagana anwar aziz raju munnu ke sath mil kar wo taliyan bajaana bandar ko munh chidana ro ro ke mangna wo ammi se roz paise ja ja ke hotalon mein barfi malai khana padhne ko jab bhi ghar par kahte the mere bhai karta tha dard-e-sar ka akasr hi main bahana milti nahin thi fursat din raat khelne se yun raegan hua tha padhne ka wo zamana kaise kahun kisi se ab kya hai haal mera khane ko mushkilon se milta hai ek dana har ek qadam pe lagti hai thokaron pe thokar ja kar rahun kahan par milta nahin thikana afsar bane hain is dam mere hi ham-jamaat un se haya ke mare padta hai munh chhupana bachcho na tum samajhna hargiz ise kahani ye hai tumhaare haq mein ibrat ka taziyana hoga bhala tumhaara sun lo 'zafar' ki baaten khelo zarur lekin padhne mein dil lagana