dharti aatish hai aasman aatish hai nihan aur kahin ayan aatish ho charaghan jale diye se diya kar na aise hi raegan aatish dekh kar us ka aatishin chehra ban gai meri dastan aatish tab talak hum jawan rahte hain jab talak hum mein hai jawan aatish be-dhuan be-sharara be-lau bhi phunk deti hai be-zaban aatish kitne hamdard hain nasheman ke aandhi barsat bijliyan aatish zehn mein dil mein ruh mein tan mein hai na jaane kahan kahan aatish aag se aag ke bujhane ka falsafa kar rahi bayan aatish jism ho ghar ho ban ho basti ho sab ko karti hai be-nishan aatish husn aur ishq mein kashish hai tabhi gar hai donon ke darmiyan aatish ye kahin par hai chand lamhon ki aur kahin par hai jawedan aatish zikr kya kijiye jahannum ka har qadam par hai jab yahan aatish shuddh hai shuddh sab ko karti hai hai jahan mein jahan-jahan aatish