dabegi kab talak aawaz-e-adam hum bhi dekhenge rukenge kab talak jazbaat-e-barham hum bhi dekhenge chalo yunhi sahi ye jaur-e-paiham hum bhi dekhenge dar-e-zindan se dekhen ya uruj-e-dar se dekhen tumhein ruswa sar-e-bazar-e-alam hum bhi dekhenge zara dam lo maal-e-shaukat-e-jam hum bhi dekhenge ye zoam-e-quwwat-e-faulad-o-ahan dekh lo tum bhi ba-faiz-e-jazba-e-iman-e-mohkam hum bhi dekhenge jabin-e-kaj-kulahi khak par kham hum bhi dekhenge mukafat-e-amal tarikh-e-insan ki riwayat hai karoge kab talak nawak faraham hum bhi dekhenge kahan tak hai tumhaare zulm mein dam hum bhi dekhenge ye hangam-e-wida-e-shab hai ai zulmat ke farzando sahar ke dosh par gulnar parcham hum bhi dekhenge tumhein bhi dekhna hoga ye aalam hum bhi dekhenge
This is a great jazbaat se khelna shayari. True lovers of jumma tul wida shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this shaukat raza shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!