aflak ke taron mein jalti bujhti hui kuchh aawazen hain kohsar ke phulon mein bikhri bahki hui kuchh aawazen hain hai mausam-e-gul ki aamad se ashkal-e-chaman mein tabdili ya murgh-e-sahar ki gulshan mein badli hui kuchh aawazen hain zardar ki har aawaz mein hai biphri hui surat ka naqsha mazdur nahif-o-bechaare sahmi hui kuchh aawazen hain aawaz jise hum kahte hain tahrik hai ye kuchh shaklon ki hum jin ko samajhte hain shaklen thahri hui kuchh aawazen hain wo git hamein jo yaad rahe dekhi hui surat hai koi manus hain jo shaklen hum se jaani hui kuchh aawazen hain ilhad ke kuchh mai-khwaron ne pi li hai ziyaada hi shayad atraf-e-dayar-e-maghrib se bahki hui kuchh aawazen hain ai 'zeb' khawayya hi apne hain un ki lughat se na-waqif har bahr se maujon ki surat uthti hui kuchh aawazen