aazmaish

By fazlurrahmanApril 3, 2022
patangon ki na sham-e-anjuman ki aazmaish hai
dilon ka imtihan hai jaan-o-tan ki aazmaish hai
musibat aa chuki hai aa rahi hai aane wali hai
shakeb-e-ruh ki tab-e-badan ki aazmaish hai


ajal kya jaane farq ahl-e-haram aur dair walon ka
bila tafriq shaikh-o-barhaman ki aazmaish hai
chhalakte hain jigar ke khun se aankhon ke paimane
sukun-o-sabr ke jam-e-kuhan ki aazmaish hai


sawal ab khar-o-khas ya ghuncha-o-gul ka nahin hamdam
chali tegh-e-khizan sare chaman ki aazmaish hai
gale ghutte hain ya phir tutti hain phansiyan dekhen
sar-o-dosh ek taraf dar-o-rasan ki aazmaish hai


abhi kuchh rah gae hain tar daman-e-mohabbat mein
figar insaniyat ke pairahan ki aazmaish hai
tamam ahl-e-zamin ki hamdami ka zikr abhi se kyon
abhi to jazba-e-hubb-e-watan ki aazmaish hai


43422 viewsnazmEnglish