ab ki jab

By krishna-mohanSeptember 23, 2023
ab ki jab aa gai hai sham-e-shabab
abruon ki tarash se hasil
dil mein jab pahla sa wo pyar nahin
ab gulabon pe wo nikhaar nahin


kho chuke apna tikha-pan baadam
sanbhli sanbhli hain aaj-kal madam
chup hua khwahishon ka aawaza
bu-e-taza se hai tahi ghaza


aur kajal mein wo khumar nahin
bankpan ab maza nahin deta
husn bhi ho chala udas udas
ab nahin hai libas mein bhi pyas


piri hone lagi hai ab warid
ho gain aap dafatan barid
kitne hi din milan nahin hota
pyar ka ye chalan nahin hota


66602 viewsnazmEnglish