ab to kuchh aisa lagta hai sara jag mujh se chhota hai aankhen bhi meri bojhal bojhal shanon par bhi kuchh rakkha hai katib-e-waqt ne jate jate chehre par kuchh likh sa diya hai aaine mein chehra khole dekh rahi hun kya likhkha hai likhkha hai tere rup ka haala aur kisi ke gird saja hai likhkha hai zulfon ka do-shaala aur kisi ne odh liya hai likhkha hai aankhon ka piyala kahin kahin se tut raha hai padh kar mushaf-e-rukh ki ibarat dil ko itminan hua hai ruh talak sarshaar hai meri aaina hairan hua hai us ko shayad ilm nahin hai mera daman ab bhi bhara hai jo rakhna tha rakkhe hue hun jo dena tha bant diya hai