abhi har dastan adhuri hai

By kanwal-pradeep-mahajanFebruary 27, 2024
abhi har dastan adhuri hai
abhi har rasta hai na-hamwar
ab ke har mashghala hai na-kafi
is ko manzil na samajhna ai dil


ye wo maqam hai
jis ko aaghaz-e-safar hi kahiye
ye ki anjam-e-jaan-kushai hai
ab ki chalte hi chale jaana hai


ab ke tanha to tum nahin hoge
ab ke ai dil bade sahaare hain
ham-safar aagahi jun ham-rah
talkhiyan talkh tajrabaat


mash'alen raushan
ab ke har sang-e-mil
tum ko sadaen dega
ab ki chalna hai tumhein


justuju mein manzil ki
wahi manzil ki hai
talash jis ki sadiyon se
sar-e-adam ko


qalb-o-jaan ko ruh-e-insan ko
ab ki jo chal hi pade ho
to ye khayal rahe
zindagi raste badalti hai


manzilen aati jati rahti hain
ek manzil se dusri manzil
phir kisi dusri manzil ki talash
ye safar khatm hi nahin hota


zindagi khatm ho to ho jae
justuju khatm hi nahin hoti
abhi har dastan adhuri hai
79536 viewsnazmEnglish