abhi mujh se kisi ko mohabbat nahin hui so dil ke bagh mein phul bhi nahin khile mujhe har aurat ke sine par pistan aur ranon ke bich qaus nazar aati hai abhi mohabbat shurua nahin hui main har ham-bistari ke baad bezar ho jata hun aur phir se us kaam ke liye tayar ho jata hun main pistanon aur ranon mein mohabbat talash karne ke kar-e-be-sud mein masruf hun mohabbat ke mausam tak ishrat ke raste jaya ja sakta to main kab ka pahunch gaya hota nazar karta hun to lagta hai zindagi se kuchh aur bhi dur nikal aaya hun mujhe maut se dar lagne laga hai kyunki abhi mujh se kisi ko mohabbat nahin hui qatl-e-am jari hai agle padaw tak kar-e-mohabbat mauquf kar diya gaya hai qismat ko kaghaz ke tukdon aur barud se munsalik kar diya gaya hai aabaadi ka masala darpesh hai mohabbat ko kisi farigh waqt par utha diya gaya hai bahaar aane tak ye mausam to tai karna padega