agar mujhe ye guman bhi ho ki khwab mein main na dekh paunga tera chehra gudaz banhen udas aankhen mere labon ko talash karte hue tere lab qasam hai mujh ko guzarti naddi ke paniyon ki main apni ninden jala ke rakh dun agar mujhe ye yaqin bhi ho ki sabz patte hawa ki aahat na sun sakenge gulab mausam barasti barish na sah sakega chamakti shakhon pe ek shagufa na rah sakega to phir bhi main tera nam le kar tarasti aankhon ko band kar lun ki nind aae to main tere khwab dekh paun ye khwahishen hain ki sang-reze jo aasmanon se mere dil par baras rahe hain ye dhup hai ya aziyyaton ka sarab-e-dozakh ye log hain ya khala ki wusat mein dur hote hue sitare kahan gaya nind ka parinda paron se lori sunane wala wo tere manzar dikhane wala