ai dil-e-be-khabar jo hawa ja chuki ab nahin aaegi jo shajar tut jata hai phalta nahin wapsi mausamon ka muqaddar to hai jo saman bit jae palatta nahin jaane wale nahin lautte umr bhar ab kise dhundhta hai sar-e-rahguzar ai dil-e-kam-nazar ai mere be-khabar ai mere ham-safar wo to khushbu tha agle nagar ja chuka chandni tha hua sarf-e-rang-e-qamar khwab tha aankh khulte hi ojhal hua ped tha rut badalte hua be-samar ai dil-e-be-asar ai mere chaara-gar ye hai kis ko khabar! kab hawa-e-safar ka ishaara mile! kab khulen sahilon par safinon ke par kaun jaane kahan manzil-e-mauj hai! kis jazire pe hai shah-zadi ka ghar ai mere chaara-gar ai dil-e-be-khabar kam-nazar mo'tabar tu ki muddat se hai zer-e-bar-e-safar be-qarar-e-safar rail ki be-hunar ptriyon ki tarah aas ke be-samar mausamon ki tarah be-jahat manzilon ki masafat mein hai rasta bhule hue rahrawon ki tarah chob-e-nar-e-safar e'tibar-e-nazar kis guman par karen ai dil-e-be-basar ye to sahil pe bhi dekhti hai bhanwar ret mein kisht karti hai aab-e-baqa kholti hai hawaon mein bab-e-asar tujh ko rakhti hai ye zebdar-e-safar be-qarar-e-safar ai dil-e-be-hunar garm sanson ki wo khushbuen bhul ja wo chahakti hui dhadkanen bhul ja bhul ja narm honton ki shadabiyan harf-e-iqrar ki lazzaten bhul ja bhul ja wo hawa bhul ja wo nagar kaun jaane kahan raushni kho gai lut gaya hai kahan karwan-e-sahar ab kahan gesuon ke wo sae kahan us ki aahat se chamke hue baam-o-dar ai dil-e-be-basar rang-e-asudgi ke tamashe kahan jhutputa hai yahan rahguzar rahguzar wo to khushbu tha agle nagar ja chuka ab kise dhundhta hai are be-khabar jaane wale nahin lautte umr bhar ai dil-e-kam-nazar ai mere chaara-gar ai mere ham-safar
This is a great sirf tumhare liye shayari. True lovers of azadi shayari in hindi will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this chahat shayari in english is truly a work of art. Please share if you liked this!!!