ai dil hum tanha aaj bhi hain in zakhmon se in daghon se ab apni baaten hoti hain jo zakhm ki surkh gulab hue jo dagh ki badr-e-munir hue is tarah se kab tak jina hai main haar gaya is jine se koi abr uthe kisi qulzum se ras barse mere virane par koi jagta ho koi kudhta ho mere der se wapas aane pe koi sans bhare mere pahlu mein aur hath dhare mere shane par aur dabe dabe lahje mein kahe tum ne ab tak bade dard sahe tum tanha tanha chalte rahe tum tanha tanha jalte rahe suno tanha chalna khel nahin chalo aao mere hamrah chalo chalo nae safar par chalte hain chalo mujh ko bana ke gawah chalo