ai farangi kabhi socha hai ye dil mein tu ne aur ye soch ke kuchh tujh ko haya bhi aai na-mubarak tha bahut hind mein aana tera qaht aaya tere ham-rah waba bhi aai tere qadmon se lagi aai ghulami zalim sath hi us ke gharibon ki bala bhi aai ban gai baad-e-sumum aah asar se tere is chaman mein jo kabhi baad-e-saba bhi aai teri culture mein chamak to hai magar is mein nazar kabhi kuchh roshni-e-sidq-o-safa bhi aai yahi culture sabab-e-pasti-e-akhlaq hui hindiyon mein isi culture se riya bhi aai ja-e-shukr is mein shikayat teri be-dad ki thi gham-nasibon ko agar yaad-e-khuda bhi aai teri sanginen chamakne lagin sadkon pe jun-hi lab pe mazlumon ke fariyaad zara bhi aai dard-e-iflas ka nezon se kiya to ne ilaj maut ban kar tere hathon mein shifa bhi aai is rawish par kabhi ai bani-e-be-dad tujhe dil ke andar se malamat ki sada bhi aai