phul bheje hain jo tu ne paudon ke hath sare din aaj khela hun main un ke sath aur kaliyan khila aur kaliyan khila ai khuda ai khuda ai khuda raat taron se jholi bhare aai thi ghup andhera magar sath wo lai thi main kabhi khush hua main kabhi dar gaya ai khuda ai khuda ai khuda ai khuda pattiyan hain hatheli pe moti liye tu ne paudon ko ye sab khilaune diye un se aata nahin hai magar khelna ai khuda ai khuda ai khuda ai khuda gana chidiyan jo gati hui aai hain subh ko chahchahati hui aai hain in ko tu ne bataya hai mera pata ai khuda ai khuda ai khuda ai khuda