ai meri hamdam-o-dam-saz

By bazm-ansariFebruary 5, 2024
ai meri hamdam-o-dam-saz meri jaan-e-nafas
shorish-e-baad-e-mukhalif se pareshan kyon hai
tere chehre ki udasi tere lahje ki thakan
aisa lagta hai koi tut raha ho jaise


kah rahi hain teri jagi hui bojhal aankhen
tere dil par koi shab-khun hua ho jaise
is qadar gardish-e-dauran se hirasan kyon hai
ai meri hamdam-o-dam-saz meri jaan-e-nafas


'ishq mein tir-e-malamat to nai baat nahin
ahl-e-dil nawak-e-dushnam se kab darte hain
jin ke daman pe nadamat ka koi dagh nahin
wo jafa-kari-e-ilzam se kab darte hain


apne na-karda gunahon pe pasheman kyon hai
ai meri hamdam-o-dam-saz meri jaan-e-nafas
ye girani-e-shab-e-hijr kahan tak aakhir
tirgi waqt ke sailab se chhat jaegi


dil pe jo kuchh bhi guzarti hai guzar jaane de
jurat-e-shauq se ye raat bhi kat jaegi
‘azm-e-rasikh hai to andesha-e-tufan kyon hai
ai meri hamdam-o-dam-saz meri jaan-e-nafas


shorish-e-baad-e-mukhalif se pareshan kyon hai
28121 viewsnazmEnglish