ai mubaraz-talab

By January 1, 2017
ai mubaraz-talab
ishq ki tund-khezi ke auqat aakhir hue
ai mubaraz-talab zindagi
alwida
alwida apne auqat aakhir hue


khwab ki lahr mein
dard ke shahr mein
gard rakht-e-safar
dil lahu mein hai tar


zindagi kat gai tegh ki dhaar par
sajda karte jabin kitni zakhmi hui
aur khuda aaj tak hum se raazi nahin
aur zamin sakht hai


manzilen gard hain
baadalon ki tarah gham barasta raha
chaar jaanib yahan aag hi aag hai
ai mubaraz-talab zindagi


pyar ke phul le
dard ki dhul le
mere hone ke sab khwab lauta mujhe
aakhiri sham hai


aakhiri marka hai
ki phir is ke baad
hum kahan tum kahan
aur hue bhi agar to phir aaise kahan


aakhiri war tera hai kari bahut
gham ki shiddat se dil mera bhaari bahut
war
ek aur war


maut ke sard bose se sarshaar dil
teri qurbat ki chahat mein marta raha
umr bhar tujh se jari raha marka
ai mubaraz-talab zindagi


din bhi dhal hi gaya
sham bhi thak gai
ruh-e-umr-e-rawan
ho rahi hai azan


sham dhalne se pahle hamein ajr de
yun hamein ajr de
jaan rahe hi nahin
khasta tan mein kahin


hum kahen alwida
alwida
ai mubaraz-talab zindagi
ishq ki tund-khezi ke auqat aakhir hue


zindagi tere lamhat aakhir hue
72037 viewsnazmEnglish