ai nae sal bata tujh mein naya-pan kya hai

By faiz-ludhianviMay 11, 2021
ai nae sal bata tujh mein naya-pan kya hai
har taraf khalq ne kyon shor macha rakha hai
raushni din ki wahi taron bhari raat wahi
aaj hum ko nazar aati hai har ek baat wahi


aasman badla hai afsos na badli hai zamin
ek hindise ka badalna koi jiddat to nahin
agle barson ki tarah honge qarine tere
kise malum nahin barah mahine tere


january february march mein padegi sardi
aur april may june mein ho gi garmi
tera man dahr mein kuchh khoega kuchh paega
apni miad basar kar ke chala jaega


tu naya hai to dikha subh nai sham nai
warna in aankhon ne dekhe hain nae sal kai
be-sabab log kyon dete hain mubarak-baaden
ghaaliban bhul gae waqt ki kadwi yaaden


teri aamad se ghati umr jahan se sab ki
'faiz' ne likkhi hai ye nazm nirale dhab ki
20574 viewsnazmEnglish