ajnabi

ai hama-rang hama-nur hama-soz-o-gudaz
bazm-e-mahtab se aane ki zarurat kya thi
tu jahan thi usi jannat mein nikharta tera rup
is jahannam ko basane ki zarurat kya thi
ye khad-o-khal ye khwabon se tarasha hua jism
aur dil jis pe khad-o-khal ki narmi bhi nisar
khar hi khar sharare hi sharare hain yahan
aur tham tham ke utha panw bahaaron ki bahaar
tishnagi zahr bhi pi jati hai amrit ki tarah
jaane kis jam pe ruk jae nigah-e-masum
dubte dekha hai jin aankhon mein mai-khana bhi
pyas un aankhon ki bujhe ya na bujhe kya malum
hain sabhi husn-parast ahl-e-nazar sahib-e-dil
koi ghar mein koi mahfil mein sajaega tujhe
tu faqat jism nahin sher bhi hai git bhi hai
kaun ashkon ki ghani chhanw mein gaega tujhe
tujh se ek dard ka rishta bhi hai bas pyar nahin
apne aanchal pe mujhe ashk baha lene de
tu jahan jati hai ja, rokne wala main kaun
apne raste mein magar shama jala lene de
This is a great sharabi shayari image download. True lovers of vatan parast shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this pashto shayari ghani khan baba is truly a work of art. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close