hamein ye ranj tha jab bhi mile chaaron taraf chehre shanasa the hujum-e-rah-guzar bahon mein bahen dal kar chalne nahin deta kahin jaen taaqub karte sae gher lete hain hamein ye ranj tha chaaron taraf ki raushni bujh kyun nahin jati andhera kyun nahin hota akele kyun nahin hote hamein ye ranj tha lekin ye kaisi duriyan tarik sannate ki is saat mein apne darmiyan phir se chali aain